khaatin hai rah-guzr, thori dooR sath chalo

bohut karra hai safr thori dooR sath chalo

tamaam umr kahaan koi sath dai-ta hai

yeh jan ta hooN magar thori dooR sath chalo

Nashe mein choor hooN mai bhi tumhein bhi hosh nahin

baRRa maza ho agar thori dooR sath chalo

yeh aik shub ki mulaqaat bhi ghaNimat hai

kise hai kal ki khabr thori dooR sath chalo

abhi to jaag rahae hein chiragh rahooN ke

abhi hai dooR sahr thori dooR sath chalo

tawaf-e-manzil-janah hamein bhi karna hai

Faraz tum bhi agar thori dooR sath chalo