zindigani ke safar main gardishon ki dhoop mein

jab koi saya nahin milta tab boht yaad aati hai MAAN

pyar kehte hain kisse aur maamta kya cheez hai

koi un bachon se pooche jinki mar jati hai MAAN

safa-e-hasti pe likhti hia asool-e-zindagi

isiliye to maqsad-e-islam kehlati hai MAAN

jab koi pardes jata hai aye noor-e-nazar

Quran leke sar pe aajati hai MAAN

leke zamanat mein raza-e-pak ki

peechey peechey sar jhukaye door tak jati hia MAAN

kaampti awaz main kehti hai beta alvida

samne jab tak rahe hathon ko lehraati hai MAAN

jab parseshani mein phass jate hain hum pardes main

aansuuyon ko pochne khawbon main chali aati hai MAAN

marte dam tak aasaka na bacha ghar pardes se

apni sari duyayain chokhat pe chor jati hia MAAN