Mere seene me b dil aik hi dharakta hai

Koi chehra mgar is me nahi utarta hai

Mene socha hai muhabbat ko buhat tanhai me

siwa dukhon k is me nahi kuch milta hai

Sadain siskyon ki aati hain har simat pyar me

Dilon me har roz ik zakham nya khilta hai

Jb b poochta hai koi mujh se pyar se doori ka sbab

Main hans k kahta hoon k Ghamm-e-Yaar me kya milta hai

Zindagi ka maza to mehfil me hai tanhai me hai

Guzaar de koi hayat kisi k intzar me kya milta hai

Jo b hans k guzar jay zindagi hai wohi ‘AFZAL’

Or ro ro k guzaare din raat kisi k liay to kya milta hai