zehan me ek tasvvur vo banke rahta hai

vo saara waqt mere dil pe chhaya rahta hai

daba hai dil me mere ik khazane jaisa hi

kabhi kabhi bas aankhon se chhalka karta hai

yun us pe jaan meri laakh baar qurbaan hai

aur yun vo meri hi bas jaa.n jalaya karta hai

sabaq sikhyaa hai ye zindagi ne hamko ab

jo hamse milta hai vo matlabon se milta hai

hazaar phool hain chahat ke khilke murjhate

kahin tab jaake koi ek gul yun khilta hai

sabab udasi ka hamse na poochh ae hamdam

vo dil me chup ke nigahon se door rahta hai