Youn dosti ke naam ko rusvaa na kijieye

Tark-e-talluqaat ka charcha na kijieye

Jurm-o-sitam ka paas bhi ulfat mein shart hai

Palakon ko aansuon se bhigoyaa na kijieye

Aisa na ho umeed se rishta he tuut jaaye

Har roz mujh se vadaa-e-farda na kijieye

Hamdard jis ko apana samajhte rahe hain aap

Uss ka he zindagi mein bharosa na kijieye

Hargiz shiddat-e-gham se na ghabaraa_iye kabhi

Khuddaari-e-hayaat ko rusavaa na kijieye