Yeh Hum Bhi Gawara Kartay Hain,

Yeh Tum Bhi Gawara kar laina.

Ro Ro K Guzari Hai Hum Nain,

Tum Hans k Guzara Kar Laina.

Betabi Hadh Sa Barh Jaye Aur Neend na Aaye Ratoon Ko,

Tou Doub K Meri Yadoon Main Duniya Sa Kinara Kar Laina.

Jis Waqt Janaza Guzray Ga Iss Shakhs Ka Teray Kochay Sa,

Jazbaat Pe Qabo Kar Laina Khirki Sa Nazara Kar Laina.