Woh jo ziddi tha bohat, main bhi to khudsar thehra

Ma’sala aur bigarna hi muqqadar thehra

Main to saahil tha jo chalta bhi to kaise chalta

Woh bhi moujon ki tarah aya to pal bhar thehra

Chaand pagla tha, chala aya jo meri janib

Main to baadal tha hamesha se be-ghar thehra

Woh chala aya khayalon main henna ki suraat

Rang dena tha ussey aur main pathar thehra

Main to baarish houn baras jaoun ga qatra qatra

Woh to kuch aur dhaley ga ke mar mar thehra

Koi dekhey to zara uss ki karishma-saazi

Dil main rehtey huey kaisey hai woh bahar thehra

Kuch hum bhi janooni they wafa kerney main

Aur kuch uss ki jafaoun main tawa-tar thehra

Saad phuloun se sajata kabhi anghan laakin

Woh to ghairoun ki tarah soch ke dar per thehra