Waqt ki aankh se dekho to yeh bahut puraanii lagti hai

Teray meray ishq ki baat ab faqt kahani lagti hai

Ban ke lahu takh/leeq mirii kii ragh ragh men woh behti hai

Larki jo naadaan kabhii ,kabhii bahut siyaanii lagti ha

Eik ahad par maiN ne guzaarii tanha apnii umr tamaam

Aaj koyii soche to shaayad bahut hairaanii lagti hai

Kehnay ko gar na ho kuch to daal do paychedgi kay khum

Jo baat samajh na aayay yahaaN woh baat ruhaani lagti hai

Us se baRh kar bhi haseen hoNgay ‘sagar’ magar

Achi itni phir kyuN mujhko woh mar jaani lagti hai