Us ka to har andaaz niraala sa lage’ hay

Qaatil hai mera aur maseeha sa lage’ hay

Wo jis se koi khaas ta’aruf bhi nahin hay

Jub bhi nazar aa jaaye hay apna sa lage’ hay

Hum us ke bina jaise mukammal hee nahin

Jo kaam bhi karte hain adhuura sa lage’ hay

Ma’ us ki har aik baat ko kis tarha na maanoon

Wo jhoot bhi bole hay to sacha sa lage’ hay

Aik um’r hui toote huye dil ko hamaare

Ye zakhm magar aaj bhi kal ka sa lage’ hay

Itni si khataa par ke taira naam liya tha

Har shakhs maire khoon ka pyaasa sa lage’ hay