Tumhara Khat mila jana

Woh jis main tum ne pocha hay

K ab halaat kaisa hain

Mairay din raat kaisay hain

Meherbani tumhari hai

Keh tum ne is trah mare halaat pochay hain

Mairay din raat pochay hain

Tumhain sab kuch bata doonga

Mujhe itna bata do keh

Kabhi saager kinare per kisi machli ko dekha hay

K jis ko Lehrain pani k kinare tak to laati hain

Magar phir chor jati hain

Mairay halaat aise hain !

Mairay din raat aise hain