Tumhain zid hai k main keh dun

Muje zid hai k tum keh do

‘Muje tum se mohabbat hai’

Kaho muj se mohabbat hai

Nahin ye jantay donon

Mohabbat kab muhtaj hai lafzon ki ‘ baton ki

Mohabbat to humari dharkh’non k saas main shamil

Sureelay geet ki manind

Mohabbat yaad ki daivi

Jo tanha raat ko akser aati hai ankhon main

Mohabbat muskarahat hai

Haseen nazuk se honton main

Mohabbat san’dli hathon ki nazuk lerzashon main hai

Mohabbat soch ki gehrion se phoot’ti khushboo

Hamesha saath rehti hai

Mohabbat aankh main palta wo purasrar jazba

Jisse ab tak na koi samj paya

Na is ki koi surat hai

Na is ka koi pemaina

Dhakhe alfaz main is ka boht izhar hota hai

Kuch aise hi k jaise ab

Tah-e-dil se to hum donon iqrar kerte hain

Magar phir b na-jane kiun

Tumhain zid hai k main keh dun

Muje zid hai k tum keh do

Muje tum se mohabbat hai

Kaho muj se mohabbat hai !!!