Tum Chaand Ho To Talkh Andheron Ki Fiker Kiya

Tum Bay Neyaz Ho To Zamanay Say Ho Alag

Tum Rung Ho To Phir yeh Baharon ka Zikr Kiya

Tum Bay Samar Ruton Main, Baharon Ki Ho Umeed

Tum RahGuzar-e-Shauq Main Jazba Junoon Ka Ho

Tum Arzoo Ho, Ehl -e- Tamanna Ki Ho Khalish

Tum Rut-Jagon Ki BheeR Main Lamha Sakoon Ka Ho

Tum Bewafa Ruton Main Hawala Ho IshQ Ka

Tum Baybasi Ho Phir Bhi Muheet-e-Hawaas Ho

Tum Ik Kiran Ho Noor-e-Azal Main Dhali Hui

Tum Taazgi Ho, Shabnami Phoolon Ki Aass Ho

Tum Gehrey Paniyon Main Chupay Motiyon ka Lams

Tum Maut K Safar Main Nishan -e- Hayat Ho

Tum Meri Chashm-e-Num K Sitaron Ki Keh’kishaan

Tum Husn-e-Bay’Missal, Meri Kayenaat Ho

Tum Jab Say Ho Gaey Ho Meri Dastras Say Dour

Main Jee rahi Hoon Kion K Zaroori Hay Zindagi

Saanson K Bojh Ko Bhi uThaya hay Rooh Nay

Lekin Terey Bagheir……

Adhoori hay Zindagi