Tu bata a dil-e- betaab, kahan aatey hain

Humko khush rehney k aadaab kahan aatey hain

Mein to yakmusht usey sonp doon sab-kuch lekin

Ek muthi mein merey khwaab kahan aatey hain

Muddaton baad tujhey dekh k dil bhar aaya

Warna sehraon mein selaab kahan aatey hain

Meri bedaar nigahon mein agar bholey se

Neind aaye bhi to ab khwaab kahan aatey hain

Shiddat-e-dard hai ya kasrat-e-mai- noshi hai

Hosh mein ab terey betaab kahan aatey hain

Hum kisi tarah terey dar pe thikana kar lein

Hum faqiron ko ye aadaab kahan aatey hain

Sar-basar jin mein faqat teri jhalak milti thi

Ab muyassar hamin who khwaab kahan aatey hain