terii zulfoN ke bikharne kaa sabab hai ko’ii

aaNkh kahtii hai tere dil meN talab hai ko’ii

aaNch aatii hai tere jism kii uryaanii se

pairahan hai ke sulagtii hu’ii shab hai ko’ii

hosh uRaane lagiiN phir chaaNd kii ThanDii kirneN

terii mastii meN huuN yaa Khvaab-e-tarab hai ko’ii

giit buntii hai tere shah’r kii bharpuur havaa

ajnabii maiN hii nahiiN tuu bhii ajab hai ko’ii

liye jaatii haiN kis dhyaan kii lahreN ‘Nasir’

duur tak silsilaa-e-taak-e-tarab hai ko’ii