Teray harf-o-lab ka tilsim tha meri aab-o-taab me rah giya

Woh kisi gulab ka jism tha jo meri kitaab me rah giya

Meri baat baat me roshni meray harf harf me dilkashi

Tu meray shareek-e-wisaal-e-jaan, meri har kitab me rah giya

Koi phool khil ke bikhar giya koi baat ban ke bigarh gayee

Na sawaal koi labon pe hai na gila jawab me rah giya

Woh jo mera ehad-e-jamaal tha woh jo mera shaher-e-khiyaal tha

Ke ab us ka zikr-e-kamaal bhi kaheen harf-e-khwaab me rah giya

Tujhay kiya mila dil-e-mubtila, na koi dua na kaheen wafa

magar aik arsa-e-rayegaan,jo teray hisab me rah giya !!!