Sitam Hawa Ka Agar Tere Tan Ko Raas Nahin

kahan se laaun wo jhonkaa jo mere paas nahin

pighal chukaa hun tamaazat men aaftaab ki main

mera wujood bhi ab mere aas-paas nahin

mere naseeb men kab thi barahangi apni

mili wo mujh ko tamanaa ki be-libaas nahin

kidhar se utre kahan aa ke tujh se mil jaaye

abhi nadi ke chalan se tu rushanaas nahiin

khulaa para hai samandar kitaab ki surat

wahi parhe ise aakar jo naashanaas nahin

lahu ke saath gai tan-badan ki sab chahkaar

chubhan sabaa men nahin hai kali men baas nahin

Sitam Hawa Ka Agar Tere Tan Ko Raas Nahin!!!