rafta rafta dar-o-deewar khulain gain mujh par

shehr e gham tere sab israr khulain gain mujh par

pehla pathar meray ahbaab he marain gain mujay

baad main sab lab-e-izhaar khulain gain mujh par

band ankhon se sabhi dekh rahain hain mujh ko

janay kab deeda-e-bedaar khulain gain mujh par

aazmanay ki koi shart na rakhi main ne

kis tarha meray wafa daar khulain gain mujh par

sir uthaanay ki kisi roz jo fursat hogi

kitnay manzir sir-e-kuhsaar khulain gain mujh par

samnay aye gee jis wakt meri jaan-e-ghazal

meray mani meray ashaar khulain gain mujh par

manzil-e-fukr se guzron ga main jis dam

khud ba khud shahon kay darbaar khulain gain mujh par