qurbato’n k khwab aankho’n mai sajay hi reh gaye

ab hamray naam perho’n par likhay hi reh gaye

paas se uss shakhs ko daikha tha ham ne aik baar

uskay tikhay naqsh yaado’n mai sajay hi reh gaye

ruthhnay wala nahee’n aaya palat kar aaj tak

uskay aanay ki khushi mai ham sajay hi reh gaye

iss tarah barood ki boo say faza bojhal huyee

dulhano’n k hath mehndi say lagay hi reh gaye

adl ki aankho’n mai bhi aansoo nazar aanay lagay

be-gunah sooli charha, zaalim batchay hi reh gaye

kiss safai se ‘Ghazal’ wo hamko jhutlata raha

be-basi say uski jaanib daikhtay hi reh gaye