pyar ke shajar ki sab phungiyan jala dali

shakh-e-gul to kya sari pattiyan jala dali

kis tarah mitayenge dil se meri yaadon ko

aapne mere sari chitthiyan jala dali

mujhko tinke ke janib-e-chaman dekha

usne sare pedon ki tehaniyan jala dali

pahle to dikhaye the sabz bagh usne hi

jisne mere khwaabon ki khetiyan jala dali

iss tarah andhera hai us taraf ujala hai

kaisi shammayein logon ne darmiyan jala dali

aaye woh idhar shayad hume milne sham se pehle

shehar-e-dil ki galiyon ki battiyan jala dali

daftar-e-mohabbat mein kisne kiske kehne par

meri chahton ki sab arziyan jala dali

chitthiya unki taish mein jala dali

phir unhe bachane mein ungliyan jala dali