pholoo’n ko aag lug gaiee nughmaat jal gayeey

sooraj ki taiz dhoop main lumhaat jal gayeey

ub daaman_e_hayat main kuch bhi nahi raha

furda ki surd aag main halaat jal gayeey

kaliyaa’n chatuk rahi hain k shakhoo’n pai aablay

ghunchoo’n ki nukhatoo’n say mere haath jal gayeey

ub kay baras , bahar baseerat ko dass gaiee

fikr_o_nazar kay jhoomtay baghaat jal gayeey

saghar lutay lutay hain , sitarey bujhay bujhay

shayad mere naseeb kay din raat jal gayeey…

~R..F~