Na Woh Farishta Ho Na Farishtey Jaisa Ho

Mujhay Talash Hay Us Ke Jo Meray Jaisa Ho

Mare Khaloos Ko Pehchanta Ho Bas Kafi Hay

Woh Koi Bhi Ho Kahin Bhi Ho Kaisa Bhi Ho

Jo Khuwab Denay Ko QaDir Ho Meri Aankhon Ko

Meri Muhabbat Ko Pehchan Sakay Woh Aisa Ho

Agar Kabhi Rooth Jaoon May Us Say To

Muskra K Manaye Woh Aisa Ho

Jo Baat Karey To Woh Nibha Bhi Sake

Iradon Mein Woh Apne Chahtaoon Jaisa Ho

Dukhon Mein Hansney Ka Hunar Janta Ho

Ik Aisa HumSafar Jo Samander Ki Tarha Gehrah Ho

Us K Pyar Ki Thandak Ho Mare Liyae Aisi

K Woh To Bilkul Aasman K Chand Jaisa Ho

Woh Sirf Mera Ho Jo Nighaon Main Haya Rakhta Ho

Umar Bhar Sath Chale Woh Aisa Ho