muddat se DhooNDhatii hai kisii kii nazar mujhey

maiN kis muqaam par hooN, nahiiN hai khabar mujhey

aavaaragii uRhaaye phirii misl-e-boo-e-gul

ko_ii pukaartaa hii rahaa umr bhar mujhey

yooN jaa rahaa hooN jaise na phir aaooNgaa kabhii

muRh-muRh ke dekhtii hai terii rah_guzar mujhey

kyaa jaane kis khayaal se cheharaa damak uThaa

maiN chaara_gar ko dekhtaa hooN chaara_gar mujhey

maNzil pe aa ke ”Shaad” ajab haadisaa huaa

maiN hamsafar ko bhool gayaa hamsafar mujhey