Masoom mohabbat ka bas itna sa fasaana hai,

Kaagaz ki haveli hai, baarish ka zamaana hai,

Kya shart-e-mohabbat hai, kya shart-e-zamaana hai,

Aawaz bhi zakhmi hai, aur geet bhi gaana hai,

Uss paar utarne ki ummeed bahot kam hai,

Kashti bhi purani hai, toofan ko bhi aana hai,

Samjhe ya na samjhe wo andaaz mohabbat ke,

Ek shaqs ko aakhon se, ek sher sunaana hai,

Bholi si adaa, koi phir ishq ki zidd par hai,

Fir aag ka dariya hai, aur doob ke jaana hai