lDiiwaanaa banaanaa hai to diiwaanaa banaa de

Warnaa kahii.n taqdiir tamaashaa na banaa de

Aye dekhanewaalo.n mujhe ha.Ns ha.Ns ke na dekho

tum ko bhii mohabbat kahii.n mujh saa na banaa de

Mai.n Dhuu.NDh rahaa huu.N merii wo shammaa kahaa.N hai

Jo bazm kii har chiiz ko parwaanaa banaa de

Aakhir koii suurat bhii to ho Khaanaa-e-dil kii

Kaabaa nahii.n banataa hai to but_Khaanaa banaa de

‘Behzad’ har ek jaam pe ek sajdaa-e-mastii

har zarre ko sang-e-dar-e-jaanaa.N naa banaa de