Kash main tere hasin hath ka kangan hota

Tu bare pyar se bare chao se bare arman k sath

Apni nazuk si kalai mein charhati mujh ko

Aur betabi se furqat k khizan lamhon mein

Tu kisi soch mein dubi jo ghumati mujh ko

Main tere hath ki khushbu se mahak sa jata

Jab kabhi mode mein a kar mujhe chuma karti

Tere honthon ki shiddat se main dahak sa jata

Rat ko jab bhi tu nindon k safar par jati

Marmari hath ka ik takya banaya karti

Main tere kan se lag kar kai baten karta

Teri zulfon ko tere gal ko chuma karta

Jab bhi tu band qaba kholne lagti janan

Apni ankhon ko tere husn se khera karta

Mujh ko betab sa rakhta teri chahat ka nasha

Main teri ruh k gulshan mein mahakta rahta

Main tere jism k angan mein khanakta rahta

Kuch nahin to yahi benam sa bandhan hota

Kash main tere hasin hath ka kangan hota