Kabhi nazren milane main zamaney beet jatay hain

Kabhi nazren churane main zamaney beet jatay hain

Kisi ki aankh bhi khulti ha to sonay ki nagri main

Kisi ko ghar bananey main zamaney beet jatay hain

Kabhi ghar say nikaltay hi nazar aa jati ha manzil

Kabhi raston ko paney main zamaney beet jatay hain

Kabhi sadiyon ki c ratain humain pal bhar ki lagti hain

Kabhi soraj ko aane main zamaney beet jatay hain

Koi sajday main gir jata hay to pa laita ha rab ko

Kisi ko loaw lagane main zamaney beet jatay hain

Abr-e-Nesa sepi ko gohar karta ha ik pal may

Par us ik pal ko aaney main zamaney beet jatay hain

Kabhi pal bhar barabar ban ka sadiyan beet jati hain

Kabhi ik pal bitaney main zamane beet jatey hain