Kabhi kitaboun mein phool rakhna

Kabhi darakhtoun pe naam likhna

Hamein bhi yaad hai aaj tak

Wo nazar se harf-e-salaam likhna

Wo chand chehrey. Wo behki baatein

Sulagtey din thay mehkti raatein

Wo chotey chotey kaghazoun per

Mohabbatoun ke piyaam likhna

Gulab chehroun se dil lagana

Wo chupkey chupkey nazar milana

Wo aarzoun ke khawab bun-na

Wo qissa-e-natamam likhna

Merey nagar ki haseen fizaao!

Kahein jo un ka nishaan paao

Tou poochna ye, kahan basey wo

Kahan hai un ka qayaam likhna

Gayee rutoun mein hamara bas

Aik he tou ye mashghala tha

Kissi ke chehrey ko subah kehna

Kissi ki zulfoun ko shaam likhna