Jiss Ki PalkooN ko Namm Hamm ne Akser Daikha

Us ki ankhon ko jab dakha banjar dakha

Chand shajar ki bahon se lapta rota tha

Jheel ke kanary hum ne as manzar dakha

Jis ko anso kehtay hain wo agg kabi pe

Jis ko dil kehtay hain kya wo pathar dakha

Apny dil per likh li meri nazmain sari

Mery lafzon ko jab us ne be ghar dakh

Apny sary ghum jesy mein bhool gay tha

Deera se jab us ne mujh ko hans kar dekha

Her salwat mein lapti thi meri be khawbi

Subh ko jab b mein ne apna bastar dekha

Her ik sha se warni ki khushbu ayi

Ass manzar mein ne apny andar dekha

Us ke bara mein mery sab andazy hi the

Hijar hai kya ya mein ne us ko kho kar dekha

Jany kesa Ishq mujh ko lahaq hai ‘AAMIR’

Pehly se jab khud ko dekha behtar dekha