Jab yaad ka qissa kholoun tau, kuch dost bahaut yaad aate hain,

Main guzre pal jo sauchoun tau, kuch dost bahaut yaad aate hain.

Ab jaane kaunsi nagri mein, abaad hain ja kar muddat se,

Main raat gaye tak jaagoun tau, kuch dost bahaut yaad aate hain.

Kuch baatein thein phoolon jaisi, kuch lehje khushboo jaise thay,

Main shehre chaman mein tehloun tau, kuch dost bahaut yaad aate hain.

Woh pal bhar ki naaraazgiyan,aur maan bhi jaana pal bhar mein,

Ab khud se jab bhi roothoun tau, kuch dost bahaut yaad aate hain(k,k)