Ik bar phir kaho zara, kay meri sari kainaat

Teri ik nigah per nisar hay

Meri teera zindagi ka noor too

Jannat-e-arzi, maiN rashk-e-hoor too

Lazzat-e-jaan, rahat-e-qalb-e-hazeen

Ishrat-e-nazzara, mehvesh, mehjabeen

Ik bar phir kaho zara,

kay too bohat haseen hay

Nigah main shabab ka khumar hay

Sharm kay parday main pinhaan shokhiyan

Muskurahat main nihaan hon bijliyan

Her ada teri mujhay merghoob hay

Dehr ki her cheese say mehboob hay

Ik bar phir kaho zara ,

kay paiker-e-fani hay kya

Kay dil to teri rooh per nisar hay

Jism fani, husn bhi fani mera

Jazb-e-dil lekin hay lafani mera

Mard herjai hay her gul per nisar

Dil magar deti hay aurat aik bar

Ik bar phir kaho zara ,

kay mujh ko ghair ka khayal

Tauba tauba sakht nagavar hay