Gum-gashta mohabbat k, khwabo`N ki tarah haii

wo rooh k sehra mein sarabo`N ki tarah haii

wo zeest k maktab mein nisabo`N ki tarah haii

parhta hoon usse roz, kitabo`N ki tarah haii