((~~~FASEEL E ANNA~~~))

———— ——

US ki chahtoon k Rubroo

Main ho Saki na Surkhroo

Mery dil ki jo kitab ka

Lafz Lafz Usi k naam Tha

Lekin——- —

Ik Faseel E Anna jo haayl Thi

Mery Aur US k dermeyan

Na Main kabhi usy gira Saki

Na US ne Kabhi Aboor ki

Aur —– phir—–

Achanak ik Ajnabi SE Musam Main

JO Hvva E Bekhudi Chali —

Tu US k Dil ki kitab ka ik Safha

Meri Agosh Main Yuun Aa Gira —

Wo Dastaan Tu Main na parh Saki

Lekin Jo US ka UNWAN Tha

US pER MERA NAAM THA