Farz karo hum dono samndar kinare bethe hon

Batein hum karte jayein aur paoon paani mein geelein hon

Mein rooth kar tumse kisi baat pe kafa hojati hoon

Meri zulfon ko pyar se hata kar mujhko phir manatay ho

Mein tumhari kisi baat pe zor se hansne lagti ho

Tum ulfat aur chahat se mujhe takte jatay ho

Mein kucch sharma kar kucch ghabra kar nazrein jhuka leti hon

Tum meri iss halat per aik qehqaha teiz lagatay ho

Hum uth kar phir sahil se sath sath chaltay ho

Mere kho jane ke darr se tum khaufzada hojatay ho

Darti hooon mein tumse kahin biccharrh na jao

Thaam kar tum meri kalayi armano se kehtay ho

Farz karo ke aaj bhi tum sirf aur sirf mujhko hi chahtay ho

Farz karo yeh sab kuch farz na ho haqeeqat ho