Dard-E-Dil Paas-E-Wafaa Jazbaa-E-Imaan Hona

aadmiyat yahi hai aur yahi insan hona

nau-giraftaar-e-balaa tarz-e-fuGaan kya jaane

koi naashaad sikhaa de inhen naala hona

rah ke duniya men yun tark-e-hawas ki koshish

jis tarah apne hi saaye se gurezaan hona

zindagi kyaa hai anaasir men zahuur-e-tarteeb

maut kya hai inhin ijzaa ka pareshan hona

dil aseeri men bhi aazaad hai aazaadon ka

walwalon ke liye mumkin nahin zinda hona

hai mera zabt-e-junun josh-e-junun se barhkar

nang hai mere liye chaak gareban hona

gul ko paamaal na kar laal-o-gauhar ke maalik

hai ise turaah-e-dastaar-e-Gareeban hona

Gul Ko Paamaal Na Kar Laal-0-Gauhar Ke Maalik!!!

Dard-E-Dil Paas-E-Wafaa Jazbaa-E-Imaan Hona!!!