Chehra Ik Phuul Ki Tarah Shadab Hai

Chehra Uska Hai Ya Koi Mehtaab Hai

Chehra Jaise Ghazal, Chehra Jaan-e-Ghazal

Chehra Jaise Kali, Chehra Jaise Kanwal

Chehra Jaise Tasavvur Ki Tasveer Bhi

Chehra Ik Khwaab Bhi Chehra Tabeer Bhi

Chehra Koi Alif Lailavi Daastaan

Chehra Ik Pal Yaqeen Chehra Ik Pal Gumaan

Chehra Jaise Ke Chehra Koi Bhi Nahin

Mah-Rooh Mah-Rooh, Mah-Jabin Mah-Jabin

Aafreen Aafreen

Aankhein Dekhi To Main Dekhta Reh Gaya

Jaam Do Aur Donon Hi Do Aatishah

Aankhein Ya Maikade Ke Ye Do Baab Hain

Aankhein Inko Kahuun Ya Kahuun Khwaab Hain

Aankhein Neechi HuiiN To Haya Ban Gayii

Aankhein Oonchi HuiiN To Dua Ban Gayii

Aankhein Jhuk Kar UthiiN To Ada Ban Gayii

Ankhen Uth Kar Jhuki To Kaza Ban Gayii

Aankhein Jin Mein Hain Qaid Aasmaan-o-ZamiiN

Nargisi Nargisi, Surmayi Surmayi

Aafreen Aafreen