CHAND PHIR UDAAS HAI

Ajnabi Si Raahon Mein,

Door Tak Nigahon Mein,

Teergi Ka Mausam Hai,

Berukhi Ka Mausam Hai,

Aaj Phir Nigahon Ko

Beete Kal Ki Pyaas Hai,

Aisa Lagta Hai Jaise,

Chand Phir Udaas Hai,

Rang Phike Phike Hai,

Taare Roothe Roothe Hai,

Badalon Ka Shor Hai,

Khizaan Khizaan Ye Daur Hai,

Is Kadar Akele Mein

Pyar Ki Talash Hai,

Aisa Lagta Hai Jaise,

Chand Phir Udaas Hai,

Ajab Hai Dil Ki Wehshatein,

Aur Aas Paas Aahatein,

Jisko Dhundna Chaho,

Usko Dhund Kab Paao,

Phir Raha Hoon Darbadar,

Maujazey Ki Aas Hai,

Aisa Lagta Hai Jaise,

Chand Phir Udaas Hai,

Baat To Kare Koi,

Saath To Chale Koi,

Khamoshi Ke Pehre Hai,

Zakham Dilke Gehre Hai,

Aaj Wo Mile Mujhko Dard Jisko Raas Hai,

Aisa Lagta Hai Jaise,

Chand Phir Udaas Hai…