Chand her din apna chehara badalta rahta hai

Woqt ke sath sath sab kuchh badalta rahta hai

Kabhi bachpan kabhi jawani to kabhi budapa

Na chahate hue bhi mukada badalta rahta hai

Aaj khila khubsurat phool kal murjha jata hai

Her roz nind mein khwab badalta rahata hai

Kitana bhi kuchch kar lo jana hai is jahan se

Khushi aur ghum bhi apne aap badlta rahta hai

Ye jameen ye asaman aur ye chand sitare bhi

Verma is jahan ka sara naksha badalta rahta hai