Buht hi mudat k baad kal jab

kitab-e-maazi ko meine khola

buht se chehray nazr mei utray

buht se namoon pe dil paseja

aik aisa safha bhe usme aya

likha huwa tha jo ansuoon se

k jiska unwan ‘HUMSAFAR’ tha

jo safha sabse hi mautabar tha

kch aur ansu phr us pe tapkay

phr us se agay mei parh na paya

kitab-e-mazi ko bandh kar k

tumhare baton mei kho gaya mei

agr tu milta to kaisa hota

Inhi khayalon mei soo gaya mei