buhat dinu k baad kal jab

kitab-e-mazii ko main ne kholla

buhat see chehre nazar maen utree

buhat see namoon pe dill paseeja

ik esa sfha b us maen aya

likha hua tha jo ansuoon see

wo sfha sab see mutbar tha

k us ka unwan hamsafar tha

kuch or ansoo phir us pee tapkee

phir us see agee main parh na paya

kitab-e-mazii ko band kar k

usi ki yadoon mai khoo gyaa main

wo milta mujee tu keesa hota

inni kheeyaloon main soo gyaa main