Bahar ney meri aankhon par phool baandh diay hain

Rihai paun tou kaisey?hisar-e-rang mein hoon

Fiza mein jaisey koi khushboan ka raqs jaga hai

Sunehri titliyan phir se

Gulabon ke labon ko chhoo kar aai hain

Darakhtoan koi khuli baanhon mein

Saaey baat kartey hain

Udasi ashk aankhon mein liay ab door nikli hai

Aisey dhaltey huay din ki munderon par

Mere aanchal ke koney se

Wafa ka ek lamha baandh deta hai

Mere sahn-e-hunar mein harf-o-mani ki tilawat

Saans leti hai

Koi roshan sitara aasman par muskurata hai

Samandar geet gata hai

Kamal bharpoor masti mein

Koi chehra mere dil ke badan se aan lagta hai

Aur chupke se kehta hai

MUJHEY TUM SE MOHABBAT HAI!