bachpan k dukh kitne ache lagte they

tab tu sirf khiloney toota kartey they

wo khushiyaan b jane kesi khushiyan thi

titli k par nooch k uchla kartey they

maar k pao hum barish k pani main

apni nao aap diboya kartey they

chotey they tu makr o faraib bhi chotey they

dana daal kr chirya pakra kartey they

ab tu ek AANSOO b ruswa kr jaye

bachpan main ji bhar k roya kartey they

khushboo k urte hi kyun murjhaya phool

kitne bhooley pan se pocha karte they

khail kood k din bhar apni toli main

raat ko MAA ki goud main soya kartey they

BACHPAN K DUKH KITNEY ACHE LAGTEY THEY