Apni janib ik nigah e mehrba’n achhi lagi

aik larki larkio’n k darmia’n achhi lagI

chand sa chehra sehr hai, zulf uski shaam hai

aur zulfo’n ki mujhe ye kehkasha’n achhi lagi

kya batayain ham k jo poshidgee mai husn hai

lakh pardo’n mai chhupi wo jaan e jaa’n achhi lagi

phool le kar aayi hai jashn e bahara’n k liye

tham kar khushbu ka aanchal mezba’n achhi lagi

mehfil e Khurram mai ronaq thi to uske dam se thi

jo wo mehfil se gai mehfil kaha’n achhi lagi