Aik baat kahoon Agar suntey ho ?

Tum Mujh ko achey lagtey ho

Kuch chanchal se , kuch chup chup se

kuch

pagal pagal lagtey ho

hain chahney waaley aur buhut

par tum mein hai aik baat buhut

Tum apney apney

lagtey ho

Aik baat kahoon Agar suntey ho ?

Tum Mujh ko achey lagtey ho

Yeh baat baat pe kho jaana

kuch

kehtey kehtey ruk jaana

yeh kiss uljhan mein rehtey ho?

Kiya baat hai hum se keh daalo

Aik baat kahoon

Agar suntey ho ?

Tum Mujh ko achey lagtey ho