Usy ye kehna mujhe na sochy

Main dil garifta adhoora shayar

Main uljhi sochon

bikharti nazron

bhatakti rahon ka ik musafir

Khayal tirchhay

sawal aarhay

Qadam mere larkhara chukay hain

Sawal aisay azal say jin par

Zameer-e-adam ne kuch na socha

Jawab aisay k gar kabhi khud ko b bataon

To kaamp jaon

Guzarty lamhon ki gard chehray pe

teh’ba’teh jamti ja rahi hai

Naqoosh mere mita rahi ha

Main apna khanjar

khud apni sheh rag pe aazma chuka hun

Mai khud b khud ko bhula chuka hun

Mai apne dam-e-khayal se

Agar bacha to sahyad tumhe milun ga

Mujhay bhula do

Main kho chuka hun

Main kho chuka hun