‘Tujh ko Khabar na honay dian gay

hum nay kitni raatain jaagin

Honton pay rookin kitni baatain

Palkoon main chupa’ay kitnay aansoo

Kitni hum nay dua’ain maangin

Aas paas k kitnay loog

Kitni aankhain kitnay chehray

Kitni baatain kitnay da’vay

Kehnay walay keh daitay hain

Phir kyun apni annaa k qaidi ….(meray jaisay)

Kehtay kehtay reh jatay hain

Jitnay lafz k nashtar aa’ain

Chupkay chupkay seh jatay hain

Ab k bhee ……. pehlay ki maanind

Apni annaa na khonay dain gay

Tujh ko khabar na honay dain gay

Kis kis baat pay kitna ro’ay

Saariraat hain kyun na so’ay

Kehnay walay keh daitay hain

Phir kyun apni annaa k qaidi

kehtay kehtay reh jatay hain

Apni chup k darya main he

Aakhir ik din beh jatay hain

tanha tanha reh jatay hain’