Manzil Se Koso Door Sahi,

Purdard Sahi Ranjore Sahi,

Zakhmon Se Musafir Chur Sahi,

Par Kisse Kahein Aye Jaan-E-Wafa,

Kuch Aise Ghaav Bhi Hote Hai Jinhe Zakhmi Aap Nahi Dhote,

Bin Roye Aansu Ki Tarah Seene Mein Chhupa Kar Rakhte Hai,

Aur Saari Umar Nahi Rote,

Neendein Bhi Mouhaiya Hoti Hai Sapne Bhi Door Nahi Hote,

Kyon Phir Bhi Jagte Rehte Hai Kyon Sari Raat Nahi Sote,

Ab Kisse Kahein Aye Jaan-E-Wafa,

Ye Ahl-E-Wafa,

Kis Aag Mein Jalte Rehte Hai Kyon Bujh Kar Rakh Nahi Hote.