Khushbu ko phool tasvir ko chehra samjhta tha.

Tumhare do ghadi ke sath ko duniya samjhta tha.

Dikha tha bhid me mujhko tamashabeno ki tarah

Ek wo chehra jise main apna samjhta tha,

Ehsaas me zakhm khata rha, muskurata raha.

Dusron ke pyar par apna haq samjhta tha.

Haan sach h tere liye main umr bhar rota raha,

Lekin mujhe shayd hi koi apna samjhta tha.

Dard ko dard hi ke ehsaas se mara gaya,

Aakhir wo zakhm b bhara jise main gehra samjhta tha.