Ek ghazal woh bhi sunaaein to maza aa jaye,

Kuch aanso woh bhi bahaaein to maza aa jaye.

Keh do saaqi se mera gham bohat gehra hai,

Woh nazron se pilaaein to maza aa jaye.

Sun k mera gham woh bohat roein gi,

Aaj phir mehfil mein bulaaein to maza aa jaye.

Nafrat hi sahi koi rishta to hai qaem,

Woh dushmani bhi nibhaaein to maza aa jaye.

Us k zehar ko bhi ham jaam samajh lein ge,

Woh apne haathon se pilaaein to maza aa jay.