Bara kathin hai rasta jo aa sako to sath do

ya zindagi ka faasla mita sako to sath do

baray faraib khaoo gay baray sitam uthaoo gay

ya umer bhur ka sath hai nibha sako to sath do

jo tum kahoo to ya dil to kia main jaan bhi fida karoon

jo main kahoon bus ik nazar luta sako to sath do

hazaar imtyhan , yahan hazaar aazmaishain

hazar dukh hazar ghum utha sako to sath do

ya zindagi yahan khushi ghamoon k sath hai

rula sako to sath do hunsa sako to sath do