aur sab bhul gaye harf-e-sadaqat likhna

rah gaya kam hamara hi bagawat likhna

lakh kahte rahen zulmat ko na zulmat likhna

ham ne sikha hi nahin pyare baijazat likhna

na sile ki na sitaish ki tamanna ham ko

haq mein logon k hamari to hai adat likhna

ham ne jo bhul k bhi shah ka qasida na likha

shayad aya isi khubi ki badolat likhna

us se barh kar meri tahsin bhala kya hogi

parh k nakhush hain mera sahab-e-sarwat likhna

dahar k gam se hua rabt to ham bhul gaye

sarw qamat ki jawani ko qayamat likhna

kuch bhi kahte hain kahen shah k masahib ‘Jalib’

rang rakhna yahi apna isi surat likhna